Saturday, December 15, 2007

a small sharing

“ A cloud does not know why it moves in just such a direction and at such a speed, it feels an impulsion....this is the place to go now. But the sky knows the reason and the patterns behind all clouds, and you will know, too, when you lift yourself high enough to see beyond horizons(RICHARD BACH)



zindage ek naymat hai .ek aise naymat jis ke dwara hum jiwan ko samajhte hai.


bhavoo ke zareyea jiwan ka alag alag roop rang se rubaru hote hai hum.


sarer ke aane ke saath ,hum jiwan mei aate hai. hamara sarer prakriti ka hissa (part or


extention ) hai ,aur hamara hona (imness) purush ka roop hai. enn ki madad se hi param


nirvikar apne hi sakar roop mei khelta hai jise hum jiwan kahte hai.


Agar jiwan na ho tho parmatma kya hai ,hona (imness) kya hai hum kabhi samaz hi nahi payege .


Ess liye agar parampita parmeshwar ne khud ko jiwan mei dhal kar hume apna roop rang diya


hai tho usse sakar roop mei poore tarah samaz kar jina hi dharam hai.


Hamare har bhav ess sarer ke


saath badhte jiwan ko naye kahani naye deepth aur kae naye ehsasoo se bhar dete hai . yahi


bhav hum apne saath rahne walo ke sang share karte hai . Ess liye zindage ko naymat hi rahna


koi saza na banana , na khud ke liye na hi auroo ke liye jo apse milte bhichadte jate hai.


zindage ko haar saas tak jiyo chahe zindage tumhe kutch bhi de ,tum sada uss mei parmeshwar


ka koi eshara hi deekhna

.

kyuki WOH hame har pal kutch seekha raha hai.


Jitna hum parampita se prem karte hau uss se kahi kahi jyada WOH hamare prem mei dooba hai.


_()_



1 comment:

Unknown said...

hmmmmmmm aa gayee fir se maidan mein........ho gaya vanvaas khatam.......